Zameen o zamaan tumharay liye Makeen o makaan tumharay liye by Alhaj Khursheed Ahmed

Zameen o zamaan tumharay liye Makeen o makaan tumharay liye
chuneen o chunaan tumharay liye banay do jahan tumharay liye
dahan mein zuban tumharay liye badan mein hai jaan tumharay liye
hum aeye yahan tumharay liye uthein bhi wahan tumharay liye
farishtay khidam rasool hisham Tamam e umam ghulam e karam
wujood o adam hudooc o qidm jahan mein iyaan tumharay liye
Kaleem o Naji Maseeh o Safi Khaleel o Razi Rasool o Nabi
Ateeq o Wassi Ghani o Ali sana ki zuban tumharay liye
Isaalat e kul imamat e kul siyadat e kul imarat e kul
hukomat e kul wilayat e kul khuda ke yahan tumharay liye
tumhari chamak tumhari damak tumhari jhalak tumhari mehak
zameen o fallak simaak o samak mein sikka nishan tumharay liye
woh kanz e nihaan yeh noore fashan woh kun se iyaan yeh bazm e fakaan
yeh har tan o jaan yeh bagh e janaan yeh sara samaa tumharay liye
zuhoor e nihaan qayam e jahan ruku’ e mihaan Sujood e shahaan
niyaazein yahan namazain wahan yeh kis liye haan tumharay liye
yeh Shams o Qamar yeh shaam o sehar yeh barg o Shajar yeh baagh o samar
yeh tegh o Siper yeh taaj o kamar yeh hukm rawan tumharay liye
yeh Faiz diye woh jood kiye ke naam liye zamana jiye
jahan ney liye tumharay diye yeh ikramiyaan tumharay liye
sahaab e karam rawana kiye ke aab e ni’am zamana piyay
jo rakhtay they hum woh chaak siye yeh sattar badaan tumharay liye
sana ka nishan woh noor e fashaan ke mehr washaan baanhmeh shan
basaaya kashan mawakib shan yeh naam o nishan tumharay liye
ataye arab jalaaye karab fayooz e ajab baghair talabb
yeh Rehmat Rabb hai kis ke sabab barabb e jahan tumharay liye
zunoob fanaa ‘uyoob haba qaloob safa khutoob rawa
yeh khoob ataa kuroob zuda pa’e dil o jaan tumharay liye
nah jinn o bashar ke aathon pehar mulaika Dur pay basta kamar
nah jubba o sar ke qalb o jigar hain sajda kunaan tumharay liye
nah Rooh e ameen nah arsh e bareen nah laoh e mubeen koi bhi kahin
khabar hi nahi jo ramzain khilain azal ki nihaan tumharay liye
jinaan mein chaman, chaman mein Saman , Saman mein phaban, phaban mein dulhan
sazae mihan pay aisay minan yeh amn o Amaan tumharay liye
kamaal mhaan jalal e shahaan Jamal hisaan mein tum ho iyaan
ke saaray jahan mein roz e fakaan zil e aaina saan tumharay liye
yeh tor kuja sipehr to kya ke arsh ula bhi daur raha
jeht se vira visal mila yeh rif’at shan tumharay liye
Khalil o Naji, Maseeh o Safi sabhi se kahi kahin bhi bani
yeh be khaberi ke khalq phiri kahan se kahan tumharay liye
bafaor e sada samaan yeh bandha yeh sidra utha woh arsh jhuka
sufoof e sama ney sajda kya hui jo azan tumharay liye
yeh marhmatein ke kachi matein nah choren latein nah apni gatein
qasoor karen aur un se bharain qasoor e jinaan tumharay liye
Fanaa Badarat Baqa Babrat zay har do jeht bagar disarat
hai markaziat tumhari sift ke dono kaman tumharay liye
isharay se chaand cheer diya chupay hue khur ko phair liya
gaye hue din ko asr kya yeh taab o tawaan tumharay liye
Saba woh chalay ke baagh phalay woh phool khilay ke din hon bhalay
liwa ke talay Sana mein khulay Raza ki zaban tumharay liye