Khudi Ka Sirr-e-Nihan La Ilaha Illallah by Abdul Rauf Rufi

Khudi Ka Sirr-e-Nihan La Ilaha Illallah
Khudi Hai Taeg, Fasan La Ilaha Illallah

The secret of the self is hid, In words “No god but He alone.”
The self is just a dull-edged sword, “No god but He,” the grinding stone.
Ye Dour Apne Baraheem Ki Talash Mein Hai
Sanam Kudah Hai Jahan, La Ilaha Illallah

Kiya Hai Tu Ne Mataa-e-Ghuroor Ka Soda
Faraib Sood-o-Zayan, La Ilaha Illallah

Ye Maal-o-Doulat-e-Dunya, Ye Rishta-o-Pewand
Butan-e-Weham-o-Guman, La Ilaha Illallah
Khird Huwi Hai Zaman-o-Makan Ki Zunnari
Na Hai Zaman Na Makan, La Ilaha Illallah
Ye Naghma Fasl-e-Gul-o-Lala Ka Nahin Paband
Bahar Ho Ke Khazan, La Ilaha Illallah

Agarche But Hain Jamat Ki Astinon Mein
Mujhe Hai Hukm-e-Azan, La Ilaha Illallah