Basa huwa he Nabi ka dyar aankhon mein by Alhaj Khursheed Ahmed

Basa huwa he Nabi ka dyar aankhon mein
Sajaye baitha hun ek jalwa zaar aankhon mein

Dyar-e-paak ka har manzar-e-haseen-o-jameel
Ruhe ga Kaa’ba qaza yaad gar aankhon mein

Ab iss se barh ke koi surma aur kya ho ga
Samait laya hun mein kuch ghubar aankhon mein

Bagher dekhe Madinah inhe nazar aaya
Hein munfarid meri aankhe hazaar aankhon mein

Tarap he dil mein Madine ke jalwa zaron kee
Aur intizar-e-safar beqaraar aankhon mein

Sunaonga woh kahani Huzoor ko ja kar
Chupaye baitha hun jo ashkbar aankhon mein

He e’etmad bhi Iqbal ko shafa’at par
Saza ka khawf bhi he gunahgar aankhon mein