Ishq-e-Ahmad (SAW) Chahiye, Hube-e-Madina Chahiye by Faseeh Ud Din Soharwardi

Ishq-e-Ahmad (SAW) Chahiye, Hube-e-Madina Chahiye

Jo Unhain Dakha Kara, Wo Chashm-e-Bina Chahiye

Zindagi or Mout Dono Un Ka Dar Pa Hun Basar

Aisa MArna Chahiye Is Tarah Jeena Chahiye

Aasi Khushboo, Ta Abad Jis Ka Asr Zail Na Ho

Jism-e-Sarkar-e-MAdina (SAW) Ka Paseena Chahiye

Barish-e-Anwaar Barsay Gi Musalsal Subha Tak

Zikre-e-Noor-e-Mustafa (SAW) Main Ik Shabeena Chahiye

Manzil-e-Hub-e-Ilahi Taq Pohachnay Ka Liye

Sarwar-e-Konain (SAW) Ki Ulfat Ka Zeena Chahiye

Hashar Ka Sailab Ma Mahfooz Rahna Ka Liye

Aal-e-Ahmad (SAW) Ki Muhabat Ka Safeena Chahiye

Ha Tari Dargah Ma Ya Rab Tamana-e-Riaz

Dafn Huna Ka Liye Khak-e-Madina Chahiye